Thursday, 5 April 2018

Rare Documents of Justice in Khalsa Raj

Rare Documents of Justice in Khalsa Raj

Script Donated By Faqeer Family now days in record of Lahore Museum Sikh Empire Exhibition .
Aojal Deedar Nirmal Budh Sardar Amir Singh Jeo or Khair khwa Ba Safa Faqeer Noor ul Din Khuday Talla ki Hifazat main rehain .
Sri Sat Guru ji kay Fazal say aap k nam irshad wala sadar kia jata hay kay apnay aap ko shehar Lahore ki hifazat ka zimadar samaj kar khabar dar rehain . Sri sat Guru ji na karain agar Hazoor e wala Farzand e Aziz Kunwar Khadak Singh geo , Kunwar Sher Singh geo , Raja Kalan Bahadur , Raja Sucheet Singh ji ya Jamadar ji say koi na munasib kam sir zad ho tao aap Hazoor e wala say iss baray main araz kar dain or apnay maotbir ko samjha kar Sardar in kay pass bhej kar inhain iss na munasib kam sy manah kar dain .
Or agar woh aap ki hadyat par amal karain warna kehla bhaija jaay kay Hazoor e Anwar say araz ki jay gi . Elawa azien aap kisi ki zameen par zabardasti qabza na honay dain or na hi kisi ka makan girany dain . Lakarharo bhusa firosho roghan firosho or Nalbando wagira karkhana walo walo per ziadati na honay dain .
Iss sourat main apnay mulazman k zariay zalim ki ziadati rok dia karain . Or Sardar Deisa Singh ji ki tarha bandobast karain or kisi per sakhti na honay dain or har shkhas ki zaroori araz aap sun kar janab wala ki khidmat main bayan karain . Mazeed buran kotwal chand mall adalat wala or Babu panda ko har raoz bula kar un say har khabar ki report lia karain ta kay har kisi ki haq rassi ho sakay or kisi k sath ziadati na ho .
Shehar kay darwazo ki choulon ki marmat adalat ki amdani say karwai jay . Hazara sawaro ko rasto ki hifazat kay liay muqarar kiea jaay . Or tamam Shehar Lahore ki hifazat apnay zima khayal kar kay tehreer haza kay mutabiq amal karain .
Faqat :
Hazoor ki Tehreer as Muqam Lahore

19 Poh Samaat 1888 .

No comments:

Post a Comment

Hindu Shaheedo ka Asthan Minar

Hindu Shaheedo ka Asthan Minar :  Sri Aom  Shaheedo ki Samadh per lagay har baras mailay Dharam per marnay walo ka Akhir nishan ho ga . Y...